Khawab Poetry
![]() |
| Ankhein khuli tu Jaag uthi hasratein tamam uss ko bhi khodiya jisay paya tha khawab mein. |
![]() |
| Chand khabon ki baat thi moula poray hotay tu kiya qayamat thi |
![]() |
| Koi saza suna ni hai tu suna saktaye ho gustakh nigahon nay aaj phr Tera khawab dekha hai. |
![]() |
| Jis ki tabeer hi nhi mumkin aesay kuch khawab hum bhi rakhtaye hein |
![]() |
| Koi jo khawab dekho tu usay foran bhula dena k nend tut janay mein zara si daer lagti hai. |
![]() |
| Kitni wehshat hai darmiyan hajom jis ko dekho gaya howa hai kahein |
![]() |
| Koi tabeer nhi thi jis ki mein nay woh khawab musalsal dekha |
![]() |
| Mera nendon k sath jhagra hai khawab hasrat sy dekhtay hein mujhey |
![]() |
| Ab talkhiyon ka samna karnay ka waqt hai ab umer khawab dekhnay wali nhi rahi. |
![]() |
| Taron ko insan tab ghorta hai Jab zameen py uska kuch kho gaya ho. |
![]() |
| Tere khayal mein jab be khayal hota hun zara si Daer sahi lazawal hota hun |
![]() |
| Teri talab ki hadh nay aesa janon bakhsha hai hum nend sy uth bethaye tujhey khawab mein tanha dekh kar. |
![]() |
| Woh jo khawab thay mere zehan mein na mein keh saka na mein likh saka k zaban mili tu kati howi k kalam mila tu bika howa.. |














EmoticonEmoticon