31 Best Ashfaq ahmed quotes with images
Yeh theek hai k tum ek gulab nhi ban saktye magr iska matlab tu nhi k ek kanta ban jao yahan ek raz ki baat hai aur woh tumhein bata deta hun k jo shaks kanta nhi banta woh bal akhr gulab ban hi jata hai..
Hum mein sy har ek dosray par yeh sabit karna chah raha hota k tum sy zahanat k ala darjaye par faiz hun aur zyda malomat rkhta hun aur tum bas aesay hi ho aur tumhara koi hal nhi hai..
Zindgi mein koi khushi koi rishta koi jazba bhi mustaqil nhi hota inn k paon hotaye hein humara salok aur rawaya dekh k kabhi bhag kar kareb ajataye hein aur kabhi ahista ahista dor chalye jatye hein..
Meinay zindgi mein apni chand batein sekhi maan baap k elawa koi wafadar nhi izat sirf pesay ki hai insan ki nhi ..ghaeb ka koi dost nhi banta insan jis shaks k liye dil sy mukhlis ho woh uss ko dukh deta hai log achi serat ki bajaye achi sorat ko targi detaye hein..
Ek din hum ek dosraye ko yeh soch kar kho daen gaye k woh yad nhi karta tu mein kyn yad karon.
Hum mein sy zinda wohi rahye ga jo dilon mein zinda rahye ga aur dilon mein wohi zinda rehtye hein jo kher bantye hein aur asaniya bantye hein..
Zindgi akhr kar rula hi deti hai phr chaye hum apnay maan baap k kitnaye hi ladlye kyn na hun..
Achi bat tu sab ko achi lagti hai lekin jab tumhein kisi ki buri baat buri na lagaye tu samjh lena tumhein uss sy mohabbat hai..
Aesa bhi hota hai k khuda humein pholon sy hara tokra ata karnay k mood mein hota hai aur hum sirf ek phol ki zid laga kar bethaye hotaye hein..
Iss duniya mein sab sy zyda badha aflas mohabat ki kami hai
Har chez ka sadqa hota hai aur aqal ka sadqa yeh hai k jahil ki bat ko sun kar basrdasht karo..
Andr sy tuta howa insan bahr k logon k bhi kisi kam ka nhi rehta..
Apni ana ko kisi k samnye pamal kardena majazi ishq hai apni ana ko bohat soo k agye pamal kardena ishq haqeeqi hai..
Humari nazr dosron k chotye chotye aebon par hoti hai apnye badhye badhye aeb dekhae nhi detye apnay badan par sanp bicho latak rahye hein un parwah nhi aur hum dosron ki makhiyan udhnye ki fikr mein hein..
Dard hota hai jo humein dosron ko taklef mei dekh kar hota hai warna apna dard tu janwaron ko bhi mehsos hota hai..
Barish hoti hai tu khali gadhye rehmat sy khud ba khud bhar jataye hein aur motaye motaye unchye telaye wesay k wesay hi reh jatye hein apnay ap ko khali rakho kyn k khali jholi hi bhari jati hai..
Humarye sath yeh badhi badkismati hai k humein bazaron mein janaye ka waqt mil jata hai tafree k liye waqt mil jata hai.doston sy bat karnye ka waqt mil jata hai magr apnay sath bethnye ka a[ny ander jhanknye ka koi waqt muyasar nhi ata..
Baba ji kehtye hein puttar dil saf na ho tu mathye par mehrab nhi dagh hota hai..
Insan do paon ka janwar hai uss ka ek paon tadbeer sy uthta hai aur dosray paon ko uss ki kismat uthati hai..
Insan par kae tarah ka bojh hota hai humarye uper sab sy badha bojh takabur ka hota hai aur hum yeh janye bagher k khuda k nazdek kon badha hai kon ghatiya faislye khud hi kartye rehtye hein..
Jab insan ka ishq lahasil rehta hai tu woh dariya chor kar samandr ka pyasa ban jata hai chotay chotye rastye hat kar badhye madar ka musfir ban jata hai tab iss ki talab uss ki targehat badal jati hein..
Jab tum kisi mein koi aeb dekho tu usay apnye ander talash karo agr usay apnye ander pao tu usay nikal du yeh haqeqi tablegh hai.
Jo zehan apni lazaton ka gulam aur jo roh apni khawishon ki kedi hoti hai woh ek banjr zameen ki manand hai..
Khamohsi ki ek duniya hai iss mein agr ap dakhil nhi hosaktye hein tu phr hi ap uss ka maza laye saktye hein ..
Takbut kabhi elm ko phalnaye pholnye ka mouka nhi deta jo elm aajiz nhi munkis nhi woh mehz ek dokha hai.
Rishta jataya nhi jata nibhaya jata hai phr chahye dor ho ya pass.
Neikiyan kartye jao darya mein daltye jao jab kabhi zindgi mein tufan aya tu yehi neakiyan kashti ban jaen gi..
Mohabbat sy nam aur udasi zror peda hogi woh mohabbat hi nhi jo udas na karye ..
Jab ap kisi admi par tanked karna chor detaye hein iss mein nuqus nikalna chor detaye hein tu woh sarye ka sara apki samjh mein anye lagta hai aur x ray ki tarah uska ander aur bahar ka wajud apki nazron k samnye ajata hai..
Hum khud ko hi sanwar lein sudhar lein mashraye py humara yehi ahsan kafi hoga..
EmoticonEmoticon