Khawab Poetry
Ankhein khuli tu Jaag uthi hasratein tamam uss ko bhi khodiya jisay paya tha khawab mein. |
Chand khabon ki baat thi moula poray hotay tu kiya qayamat thi |
Koi saza suna ni hai tu suna saktaye ho gustakh nigahon nay aaj phr Tera khawab dekha hai. |
Jis ki tabeer hi nhi mumkin aesay kuch khawab hum bhi rakhtaye hein |
Koi jo khawab dekho tu usay foran bhula dena k nend tut janay mein zara si daer lagti hai. |
Kitni wehshat hai darmiyan hajom jis ko dekho gaya howa hai kahein |
Koi tabeer nhi thi jis ki mein nay woh khawab musalsal dekha |
Mera nendon k sath jhagra hai khawab hasrat sy dekhtay hein mujhey |
Ab talkhiyon ka samna karnay ka waqt hai ab umer khawab dekhnay wali nhi rahi. |
Taron ko insan tab ghorta hai Jab zameen py uska kuch kho gaya ho. |
Tere khayal mein jab be khayal hota hun zara si Daer sahi lazawal hota hun |
Teri talab ki hadh nay aesa janon bakhsha hai hum nend sy uth bethaye tujhey khawab mein tanha dekh kar. |
Woh jo khawab thay mere zehan mein na mein keh saka na mein likh saka k zaban mili tu kati howi k kalam mila tu bika howa.. |
EmoticonEmoticon